ye shahr ke basi kya jaanen kya rup hai ganw ke panghat ka kya ishq hai laj ki alhad ka kya husn hai moh ke nat-khat ka wadon ki hawa amrai mein yaadon ki faza angnai mein milne ki dua tanhai mein sannate mein dhoka aahat ka aanchal mein chhupi mamta ki maya kathri mein dabi bhagwan ki daya lata hai koi sandesh naya pal pal mein badalna karwat ka chulhe ka tawa muskata hua jugnu bhi ude sharmata hua pardesi ki yaad dilata hua khamosh diya ek chaukhat ka galiyaron mein madh tapkata hua kutiyon ki sudha nahlata hua aangan mein nayan matkata hua hai chand aurauni par latka thak haar ke jo bhi aata hai ji bhar ke pyas bujhata hai ai dharm pe marne wale bata kya dharm hai nadiya ke tat ka 'bekal' tera pag pag nam yahan utsahi tere sab kaam yahan teri bhor yahan teri sham yahan phir kahe phire bhatka bhatka