ye shan-e-wafa gham ki hikayat se mili hai

ye shan-e-wafa gham ki hikayat se mili hai
daulat mujhe ye dard-e-mohabbat se mili hai

aalam ko bahaaran hai kiye us ki tamanna
gulshan ko mahak phul ki sohbat se mili hai

ek hashr hai us ka kisi kuche se guzarna
raftar ki had hadd-e-qayamat se mili hai

zarre se jo sunta hun main suraj ki kahani
ye aagahi muddat ki riyazat se mili hai

mushkil ki har ek shakl pe mera hai tasarruf
mujh ko ye sanad shah-e-wilayat se mili hai

is qaum ke ab koi bhatakne ka nahin dar
manzil jise sadiyon ki masafat se mili hai

tum yaad na rakkho mujhe lekin ye rahe yaad
shohrat tumhein meri hi mohabbat se mili hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close