ye sochna bhi ghalat hai ki dil-nashin hai bahut
By ahmar-nadeemFebruary 5, 2024
ye sochna bhi ghalat hai ki dil-nashin hai bahut
kamal-e-duniya to itna hai be-yaqin hai bahut
kahin jhulas hi na jae ghubar yaadon ka
ki mere khun ki raftar aatishin hai bahut
guman hone laga hai ye kis ke hone par
kahin kahin jo nahin hai kahin kahin hai bahut
shikast khai hai lekin shikasta-pa to nahin
hamare panw ke niche abhi zamin hai bahut
bikher de na kahin phir mata’-e-dida-o-dil
wo ek khwab jo aankhon mein jaguzin hai bahut
zarar-risan na hua kuchh mera ghanim magar
kise khabar thi ki mujh ko ye aastin hai bahut
hamara dil bhi dikhata hai nit-nae kartab
tumhaara dil bhi to shayad tamash-bin hai bahut

68245 viewsghazal • English