ye tajraba bhi karun ye bhi gham uThaun main

By mazhar-imamNovember 5, 2020
ye tajraba bhi karun ye bhi gham uthaun main
ki khud ko yaad rakhun us ko bhul jaun main
usi se puchh ke dekhun wo mera hai ki nahin
ab aur kitna fareb-e-jamal khaun main


wo be-libas sahi jama-zeb kitna hai
mah-e-khayal ko poshak kya pahnaun main
wo pul kahan hai jo duniya se jodta tha mujhe
jo tu qarib ho sab se qarib aaun main


kabhi to ho mere ehsas-e-kam-tari mein kami
kabhi to ho ki use khul ke yaad aaun main
wo shakhs hai ki nasim-e-sahar ka jhonka hai
bikhar hi jaun jo us ko gale lagaun main


azan ke baad dua ko jo hath uthae wo
'imam' apni namazen bhi bhul jaun main
96144 viewsghazalEnglish