ye tamanna hai ki ab aur tamanna na karen

By salman-akhtarNovember 17, 2020
ye tamanna hai ki ab aur tamanna na karen
sher kahte rahen chup chap taqaza na karen
in badalte hue haalat mein behtar hai yahi
aaina dekhen to khud apne ko dhunda na karen


tu gurezan rahi ai zindagi hum se lekin
kaise mumkin hai ki hum bhi tujhe chaha na karen
is nae daur ke logon se ye kah de koi
dil ke dukhdon ka sar-e-am tamasha na karen


12657 viewsghazalEnglish