ye tamanna nahin ab dad-e-hunar de koi

By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
ye tamanna nahin ab dad-e-hunar de koi
aa ke mujh ko mere hone ki khabar de koi
ek muddat se hai dil kasa-e-khali ki tarah
kisi shishe mein lahu howe to bhar de koi


har jagah sath rahegi yahi diwar ki qaid
sar uthane ko hamein kaun sa ghar de koi
mir-e-mahfil ko gawara nahin ye tarz-e-kalam
sham'-e-kushta ko jo ‘unwan-e-sahar de koi


sahib-e-fan ko bas ek ghuncha-e-takhliq bahut
warna be-sud agar 'umr-e-khizar de koi
19086 viewsghazalEnglish