ye tamanna nahin ki mar jaen zinda rahne magar kidhar jaen aisi dahshat ki apne sayon ko log dushman samajh ke dar jaen wo jo puchhe to dil ko dhaaras ho wo jo dekhe to zakhm bhar jaen bach ke duniya se ghar chale aae ghar se bachne magar kidhar jaen ek khwahish hai jism se mere jald se jald baal-o-par jaen ab ke lamba bahut safar in ka in parindon ke par katar jaen sochte hi rahenge hum shayad wo balaen to un ke ghar jaen