ye tasalli ye dilasa ye sahaara naTak

By aarif-nazeerJuly 12, 2024
ye tasalli ye dilasa ye sahaara natak
kitna pyara hai mere yar tumhaara natak
dard sahne ki aziyyat se guzaren tum ko
hum bhi dikhlaen kisi roz karara natak


band kar dijiye bandon ko milana rab se
band kar dijiye ab apna khudara natak
ek jaise hain tere aur mere gham jaanan
ek jaisa hai tera aur hamara natak


us ki aankhon se gire ashk to moti ho jaen
meri aankhon se chhalakta hua tara natak
hum adakar to chalte the hidayat le kar
apni marzi se kahan hum ne guzara natak


lahlahate hue baghat sukun amn-o-aman
ek taswir mein dekha gaya sara natak
ye to hum hain jo tumhein sar pe chadha rakkha hai
warna kis ko hai meri jaan gawara natak


ungliyan kis ki hain 'arif' jo nachati hain hamein
khud samajh aaya nahin hum ko hamara natak
43250 viewsghazalEnglish