ye teri chah ke gul kis tarah utarte hain
By bilal-sabirMarch 1, 2024
ye teri chah ke gul kis tarah utarte hain
ki tujh se shahr ke andhe bhi 'ishq karte hain
ye teri zulfon ke nashshe mein kaun khoya hai
ye za’fran idhar ke kidhar bikharte hain
udhar kisi ke labon par chadhe kisi ke lab
idhar ghazal mein mere zakhm kuchh ubharte hain
huzur aap ka aaina bhi hai na-mahram
to is ke aage bhala kis liye sanwarte hain
jahan mein aae hain marne ke waste 'sabir'
us ek shakhs pe bas is liye hi marte hain

15746 viewsghazal • English