ye tishna-labi hi to hai uslub hamara
By abu-hurrairah-abbasiSeptember 2, 2024
ye tishna-labi hi to hai uslub hamara
talib hain tere hum tu hai matlub hamara
qasid ka rawayya bhi bada ghaur-talab tha
nai le ke gaya aakhiri maktub hamara
kal sham sar-e-baam dikha chand jo raushan
yaadon se teri dil hua ma'tub hamara
sarkar jo kah den hamein manzur wahi hai
har qaul muqaddas tera ma'yub hamara
sab dair-o-haram dekh liye chhan liye hain
mitta hi nahin hai miyan aashob hamara
ab takht-nashinon ko padhaenge sabaq hum
ab chhin ke lenge haq-e-maslub hamara

42579 viewsghazal • English