ye to ab tai hai ki wo lauT ke aane se raha
By wasim-nadirMarch 1, 2024
ye to ab tai hai ki wo laut ke aane se raha
main bhi taswir koi aur banane se raha
main jahan hun wo andheron ka ghana jangal hai
mera saya bhi mujhe dhund ke lane se raha
taj is daur mein mumkin hai ki ban bhi jae
koi fankar magar hath katane se raha
gham to har haal mein aankhon se chhalak jaega
lash sine mein samundar bhi chhupane se raha
ruthna hai to bade shauq se tu ruth magar
zindagi main tujhe is bar manane se raha

93665 viewsghazal • English