ye to mumkin na tha wafa karte

By habeeb-jaunpuriMay 17, 2022
ye to mumkin na tha wafa karte
aap mil kar bhi mujh se kya karte
dar gae barq ki chamak se kalim
baat to jab thi samna karte


aa to jate ki waqt-e-akhir tha
mere marne hi ki dua karte
na mile wo na hasraten niklin
kat gai umr muddaa karte


hijr-e-mahbub ka ilaj to tha
zakhm-e-hasrat ki kya dawa karte
jo hain na-ashna-e-harf-e-wafa
wo kisi se kahan wafa karte


un ke aane se main na ji jata
rasm-e-duniya to wo ada karte
khalq ki ye sada bhi sun lo 'habib'
safar-e-dasht-e-karbala karte


54961 viewsghazalEnglish