ye ujale se karan-ta-ba-karan kaise hain

By farah-iqbalJanuary 12, 2021
ye ujale se karan-ta-ba-karan kaise hain
tere aane ke mere dil mein guman kaise hain
fart-e-hairat se ye aaina unhen dekhta hai
ek chehre mein kai chehre nihan kaise hain


koi shisha hai ki patthar hai ki sapna koi
jo na pahchan sakin shisha-garan kaise hain
tere raste se juda tha mera rasta lekin
tere dil par mere qadmon ke nishan kaise hain


ek uljhan hai jo ghere mein liye rahti hai
hum ko hona tha kahin aur yahan kaise hain
main to phulon ki makin khwab-nagar ki basi
phir ye aansu meri aankhon se rawan kaise hain


ab jo laute ho to aankhon mein udasi kyun hai
pas-e-mizhgan ye sitare se nihan kaise hain
wo jo bhatke hi nahin the kabhi manzil se 'farah'
un ke chehron pe likhe sud-o-ziyan kaise hain


16686 viewsghazalEnglish