ye waqt ka taqaza hai khul kar jawab dun
By syed-masood-naqviJanuary 5, 2024
ye waqt ka taqaza hai khul kar jawab dun
sab sanp aastin ke pairon se dab dun
mujh ko chala raha hai wo apne hisab se
aur ye bhi chahta hai ki us ko hisab dun
khwabon mein kar raha hai bhala kaun ye sawal
uth kar main sochta hun ki kis ko jawab dun
ho kar main tere sath jab aazad ho gaya
duniya ke in sawalon ka ab kya jawab dun
ho jaun gar khuda main jo ek roz ke liye
jo log doghle hain sabhi ko 'azab dun
jo log mar gae hain zamane mein jite-ji
jine ka un ko kyon na hasin koi khwab dun
'mas'ud' mai-kade se main jaane laga tha ghar
itne mein saqiya ne kaha aur sharab dun

69484 viewsghazal • English