ye wo hasti hai kisi ki jo asiri mein nahin

ye wo hasti hai kisi ki jo asiri mein nahin
jo faqiri mein maza hai wo amiri mein nahin

rahm farmana teri shan hai ai rabb-e-qadir
han sitam dhana teri shan-e-qadiri mein nahin

zoaf badh jata hai ho jate hain aaza kamzor
ishq ka lutf jawani mein hai piri mein nahin

jo 'anis' aap ko allah ne bakhsha hai kamal
marsiye ki wo sifat rang-e-dabiri mein nahin

bagh se phulon ka ras chus ke ud jati hain
hoshiyari ye magas mein hai bhanbiri mein nahin

ye haqiqat hai nahin sabr-o-qanaat jis mein
wo bhikari hai magar ramz-e-faqiri mein nahin

main zamane tujhe mashhur nahin kar sakta
kashf itna to meri chashm-e-basiri mein nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close