ye zamin chand sitaron ka badal kaise ho sochta main bhi bahut kuchh hun amal kaise ho surat-e-haal badal jati hai ek lamhe mein aadmi apne iradon mein atal kaise ho kin darakhton se laga rakkhi hai ummid-e-samar shakh hi jab na ho sarsabz to phal kaise ho sochte kuchh hain amal kuchh hai natija kuchh hai aisi surat mein koi masala hal kaise ho dard se koi ilaqa na talluq gham se sirf lafzon ke baratne se ghazal kaise ho har mulaqat adhuri rahi is uljhan mein yani izhaar-e-mohabbat mein pahal kaise ho mere mahbub ka urdu se hai rishta kam-kam mainun aandi nain punjabi te gal kaise ho