ye zard patte ye sard mausam By Ghazal << samajh saka na koi aaj ta... use KHud ko badal lena ga... >> ye zard patte ye sard mausam kohar mein lipti udas shamen hamare kab ikhtiyar mein hai tumhaare hathon ko ab jo thamen chalo tumhein yaad karke ro len hum apna daman zara bhigo len tumhaari khwahish mein ji rahe hain so zahr-e-tanhai pi rahe hain Share on: