yun bhi aankhon mein kisi KHwab ka resha na bane
By danish-naqwiNovember 16, 2021
yun bhi aankhon mein kisi khwab ka resha na bane
koi pahchan na ho thik se chehra na bane
aisi taswir bana rote hue khush bhi lagun
gham ki tarsil to ho gham ka tamasha na bane
mustahiq hun to kisi aur se tasdiq bhi kar
mujh ko mat dena agar mera dilasa na bane
jitna pukhta bhi ho dil jism se bahar rakhna
taki tute bhi to phir sine mein malba na bane
bas isi shart pe koi bhi rahe aankhon mein
nind ki samt kisi khwab ka rasta na bane
jo bhi rishta ho faqat mera ho tujh se 'danish'
aur to aur tera mujh se bhi rishta na bane

98336 viewsghazal • English