yun bhi chhupta hai bhala wajd mein aaya hua rang

By mubashshir-saeedFebruary 27, 2024
yun bhi chhupta hai bhala wajd mein aaya hua rang
sab ko dikhne laga ehsas pe chhaya hua rang
qimti shai ki tarah main ne sanbhaala hua hai
teri poshak ke rangon se churaya hua rang


ya'ni phir mere muqaddar mein wo sa'at aai
pahna hai yar ne ab mera bataya hua rang
raqs karti hui bal khati hui dali par
aankh ne dekha hai shabnam mein nahaya hua rang


surmai sham dhali bagh mein khushbu utri
yaad aaya teri qurbat ka bhulaya hua rang
zard lamhon mein agar lafz-e-khamoshi odhen
haal kahta hai meri aankh mein aaya hua rang


itni tauqir jo meri hai zamane mein 'sa’id'
rang hai mujh pe ye murshid ka chadhaya hua rang
55747 viewsghazalEnglish