yun bhi hua kamal mere pas aa gai hairat hai zindagi ko meri shakl bha gai mujh se juda kiya hai mujhe us ke khwab ne aankhon mein ek hasin si taswir chha gai donon taraf ki aag ne kya kya nahin kiya donon ki nind chhin li aur chain kha gai main bhi tamam raat jala hun usi ke sath us ki bhi ek ek ada zulm dha gai honton pe raqs karti meri intihai pyas guzri hadon se aise ki manzil ko pa gai