yun bhi kamal kijiye ek ghar banaiye

By adnan-asarJanuary 18, 2025
yun bhi kamal kijiye ek ghar banaiye
diwar-o-dar ki qaid se bahar banaiye
ab wo chala gaya hai to din raat baith kar
us ki misal ka koi paikar banaiye


aisa bhi kuchh to ho ki jo dil ko lubha sake
aankhen jo chahti hain wo manzar banaiye
phir hath bhi na aaegi ye mukhtasar hayat
jitna bhi ho sake ise behtar banaiye


wo mil nahin raha hamein koshish ke bawajud
kis tarh khud ko zist ka khugar banaiye
jo shai bhi aap se kabhi banti nahin 'asar'
khwab-o-khayal mein use aksar banaiye


48840 viewsghazalEnglish