yun bhi kya sone mein tujhko tolta hai koi aur
By rashid-ansarFebruary 28, 2024
yun bhi kya sone mein tujh ko tolta hai koi aur
jis qadar main chahta hun chahta hai koi aur
main bhala kaise kahun ab she'r us ki yaad mein
meri tanhai bhi ab to bantta hai koi aur
main teri is zat se jitna bhi kar lun ikhtilaf
mere andar tere haq mein bolta hai koi aur
is liye bhi der se jata hun apne ghar ko main
ghar ka darwaza bhi ab to kholta hai koi aur
jagta tha main kisi ki yaad mein pahle pahal
raat bhar meri jagah ab jagta hai koi aur
ye kabhi tere gulabi hath the mere liye
ab tera dast-e-hinai chumta hai koi aur
main nashe mein hun ki ye duniya hai kuchh madhosh si
main bulata hun kisi ko bolta hai koi aur
meri aankhon ki tamanna thi tujhe dekha karun
aankh bhar ke tujh ko 'ansar' dekhta hai koi aur

28409 viewsghazal • English