yun chakkho to phika pani

By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
yun chakkho to phika pani
pyas lage to mitha pani
chahat ka andaza kar ke
main pyasa tu thanda pani


log sazaen kat rahe hain
duniya bhi hai kala pani
us ki sakhawat allah allah
bhuke ko hai deta pani


haq-goi ka mujrim hun main
band hai mera huqqa pani
meri aankh se tapka hai jo
aadha khun hai aadha pani


sada hai koi rang nahin hai
bilkul mere jaisa pani
74538 viewsghazalEnglish