yun ghamon se najat paun kya teri furqat mein mar hi jaun kya shirk-o-bid’at mein dub jaun kya har kisi dar pe sar jhukaun kya jhut kahta nahin hun main jaanam aap ko yun yaqin dilaun kya aap hi aap hain base is mein apna dil chir kar dikhaun kya muskuraun nahin to tum hi kaho ashk zakhmon pe main bahaun kya jit paya nahin tumhaara dil hausla ab main haar jaun kya aap aasan safar samajhte hain aable panw ke dikhaun kya ye qalam kyon 'asar' nahin chalta is ko khun-e-jigar pilaun kya