yun hi sar chaDh ke har ek mauj-e-bala bolegi
By mahtab-haider-naqviNovember 4, 2020
yun hi sar chadh ke har ek mauj-e-bala bolegi
hum jo khamosh rahenge to hawa bolegi
bolta rahta hai jo aaj sar-e-shakh-e-ana
chup si lag jaegi jis roz fana bolegi
tujh se ummid kise hai meri laila-e-hayat
mahmil-e-naz se kya chashm-e-ata bolegi
wo to rahta hai yunhi apne gulistan mein gum
lab-e-khamosh se kya barg-e-hina bolegi
mausam-e-nara-e-bulbul bhi kabhi aaega
is se mayus na ho khalq-e-khuda bolegi
hum jo khamosh rahenge to hawa bolegi
bolta rahta hai jo aaj sar-e-shakh-e-ana
chup si lag jaegi jis roz fana bolegi
tujh se ummid kise hai meri laila-e-hayat
mahmil-e-naz se kya chashm-e-ata bolegi
wo to rahta hai yunhi apne gulistan mein gum
lab-e-khamosh se kya barg-e-hina bolegi
mausam-e-nara-e-bulbul bhi kabhi aaega
is se mayus na ho khalq-e-khuda bolegi
57083 viewsghazal • English