yun khul gaya hai raaz-e-shikast-e-talab kabhi aankhon se bah gaya hai lahu be-sabab kabhi viraniyon ne tham liya daman-e-hayat hum log bhi the khanda-e-bazm-e-tarab kabhi jo log aaj zinat-e-khwab-o-khayal hain rahte the sath sath mere roz-o-shab kabhi aawara aaj surat-e-barg-e-khizan mile milti thi jin se baad-e-saba ba-adab kabhi ek ek samt jin ko bagule uda gae yakja na ho sakenge wo auraq ab kabhi tark-e-talluqat hai phir bhi thithuk gae guzre hain mere pas se ho kar wo jab kabhi mohlat kuchh aur kashmakash-e-intizar de aa jae kuchh khayal use kya ajab kabhi