yun log chaunk chaunk kar ungli uthae hain jaise hum aaj pahle-pahal muskurae hain aksar khuli fazaon mein bhi sansanae hain hum par hamare ghar ne wo patthar chalae hain ai mauj-e-gul idhar ka abhi rukh na kijiyo kuchh log taza taza bayaban mein aae hain mahrumiyon ke zahr se hum kab ke mar chuke ye to ab apne jism ka lasha uthae hain han hum ko e'tiraf hai is ka ki zist ko aadab hum ne jurm-e-wafa ke sikhae hain daude hain log sang-e-taghaful liye hue hum jab bhi apne shahr ke nazdik aae hain fursat kahan nasib qayam-o-qarar ki hum log waqt-e-sham darakhton ke sae hain is darja bhid itni ghutan hai ki al-aman yaadon ka shahr chhod ke hum bhag aae hain virana-e-khayal ki wahshat na kam hui haalanki baat baat pe hum muskurae hain chehre pe pad rahi hai teri be-rukhi ki dhup sine mein har taraf teri yaadon ke sae hain raftar-e-zindagi hai ki mange hai bijliyan hum hain ki be-hisi ko gale se lagae hain yaron ko haal wadi-e-ghurbat ka kya likhen mahsus ho raha hai hum apne ghar aae hain zabt-e-gham-e-hayat bhi jin ko na pi saka 'nazish' wo ashk hum ne ghazal mein chhupae hain