yun mashghala-e-saut-o-sada chhuT gaya hai

By shehzad-anjum-burhaniJanuary 5, 2024
yun mashghala-e-saut-o-sada chhut gaya hai
wo gosh-bar-awaz jo tha chhut gaya hai
ek be-sar-o-saman khamoshi hai mere sath
wo silsila-e-harf-o-nawa chhut gaya hai


ta-hadd-e-nazar wahshat-e-be-nam bichhi hai
raste mein kahin hum se khuda chhut gaya hai
ab waqt ki chaukhat pe jabin-sai rawa hai
hum se sar-e-pindar-e-ana chhut gaya hai


ab khak pe maqdur nahin koi hamara
hathon se jo daman-e-hawa chhut gaya hai
10588 viewsghazalEnglish