yun na aankhen badal mujh se mere sanam main tere dar se uth kar kahan jaunga tu agar mujh se daman bachata raha sar tere dar se takra ke mar jaunga ho chuki hain zamane mein ruswaiyan ab nigahen churane se kya faeda tu bhula de mujhe apne dil se magar main jahan jaunga tera kahlaunga chand-taron se nazren milae hue kat dunga shab-e-hijr main is tarah jab bhi furqat ke lamhe sitam dhaenge main teri yaad se dil ko bahlaunga apne dil pe sahunga mohabbat ke gham tujh ko badnam hone na dunga kabhi ye mera zarf hai ye meri baat hai tujh pe ilzam aaya to mar jaunga teri khatir saliqe se sajda karun hai yahi aarzu hai yahi justuju mujh ko mil jae gar tera naqsh-e-qadam main ibaadat mein mearaj pa jaunga pyar tujh se kiya hai khuda ki qasam ye talluq kabhi tut sakta nahin apni hasti mita kar tere ishq mein tere jalwon ka aaina ban jaunga aaj tum ko mere dil se nisbat nahin main 'fana' hun zara tum bhi ye soch lo kal agar tum mujhe dhundne aaoge main sitaron ki duniya mein kho jaunga jazba-e-ishq mera salamat rahe maut aaegi khud le ke jam-e-baqa ai 'fana' un ki ulfat mein ho ke 'fana' har qadam par nai zindagi paunga