yun na mayus ho ai shorish-e-nakaam abhi
By asghar-gondviOctober 27, 2020
yun na mayus ho ai shorish-e-nakaam abhi
meri rag rag mein hai ek aatish-e-benam abhi
aashiqi kya hai har ek shai se tahi ho jaana
us se milne ki hai dil mein hawas-e-kham abhi
intiha kaif ki uftadgi o pasti hai
mujh se kahta tha yahi durd-e-tah-e-jam abhi
ilm o hikmat ki tamanna hai na kaunain ka gham
mere shishe mein hai baqi mai-e-gulfam abhi
sab maze kar diye khurshid-e-qayamat ne kharab
meri aankhon mein tha ek ru-e-dilaram abhi
bulbul-e-zar se go sehn-e-chaman chhut gaya
us ke sine mein hai ek shola-e-gulfam abhi

20525 viewsghazal • English