yun nahin chain to ghaflat ka sitam aur sahi

By meer-mohammad-sultan-aaqilNovember 6, 2020
yun nahin chain to ghaflat ka sitam aur sahi
hum ye samjhenge ki afzaish-e-gham aur sahi
tum na aaoge to kya jaan na jaegi meri
aamad-o-raft nafas ki koi dam aur sahi


kahte hain zulm ke baad aah karoge to kya
lashkar-e-jaur-o-jafa mein ye alam aur sahi
jhuk ke milne se tumhaare mujhe khauf aata hai
go ye kham aur sahi tegh ka kham aur sahi


asl mein jalwa ye kis ka hai tu hi kah waiz
tera rab aur sahi mera sanam aur sahi
wada-e-wasl ki takrar pe kahte hain ki jhut
inhin ahdon mein tere sar ki qasam aur sahi


jashn-e-jamshed mayassar hai ki dil rakhte hain
jam ye aur sahi saghar-e-jam aur sahi
khub hai tum mein jafa ki na rahegi aadat
mere badle bhi raqibon pe karam aur sahi


29386 viewsghazalEnglish