yun qais dasht mein tan-e-tanha muqim hai
By ahmar-nadeemSeptember 16, 2024
yun qais dasht mein tan-e-tanha muqim hai
kar-e-junun mein sath bas 'ahmar' nadim hai
hijr-o-visal rang hain aql-e-salim ke
aql-e-salim shauq ki dushman qadim hai
aasan nahin hai utna ki tartib de sakun
diwan-e-zakhm dosto behad zakhim hai
'ahmar' kisi ki yaad ke sae mein 'umr hai
'ahmar' kisi ki yaad jo nar-e-jahim hai

82921 viewsghazal • English