yun saja chand ki jhalka tere andaz ka rang

By faiz-ahmad-faizNovember 9, 2020
yun saja chand ki jhalka tere andaz ka rang
yun faza mahki ki badla mere hamraaz ka rang
saya-e-chashm mein hairan rukh-e-raushan ka jamal
surkhi-e-lab mein pareshan teri aawaz ka rang


be-piye hun ki agar lutf karo aakhir-e-shab
shisha-e-mai mein dhale subh ke aaghaz ka rang
chang o nai rang pe the apne lahu ke dam se
dil ne lai badli to maddham hua har saz ka rang


ek sukhan aur ki phir rang-e-takallum tera
harf-e-sada ko inayat kare eajaz ka rang
95163 viewsghazalEnglish