yun subuk-dosh hun jine ka bhi ilzam nahin aah itni badi duniya mein koi kaam nahin meri tahqiq mera husn-e-nazar aam nahin koi aalam ho mere aaine mein sham nahin os daman pe hai aankhon mein nami ki jhalki subh hone pe bhi aasudgi-e-sham nahin mast hun nashsha-e-parwaz mein ab hosh kahan ham-nawa dekh mera rukh to su-e-dam nahin matam ab khak karun be-sar-o-samani ka ek diya aaj mayassar hai to ab sham nahin nashsha-e-hosh pe thi kam-nazari ki tohmat khul gai aankh to ab koi sar-e-baam nahin yaad hain chashm-e-nawazish ke wo paiham nashtar ab to begana-nigahi ka bhi paigham nahin koi surkhi ho to afsana samajh mein aae hae wo dil ki khalish jis ka koi nam nahin ghusl-e-tauba ke liye bhi nahin milti hai sharab ab hamein pyas lagi hai to koi jam nahin phir ujala hi ujala nazar aata hai 'siraj' dil ho bedar to duniya mein kabhi sham nahin