yun tasawwur mein tera husn nazar aata hai jaise darpan mein koi aks jhalak jata hai ek muddat se hai go tark-e-talluq phir bhi dil ko ek jazba-e-be-nam sa tadapta hai gahre ho jate hain jis waqt andhere gham ke teri bikhri hui zulfon ka khayal aata hai kitne dilchasp hain aazar-e-mohabbat ai dost phul khilte hain to dil aur bhi ghabraata hai rah gae bujh ke mohabbat bhari yaadon ke charagh raushni dil mein koi phir bhi kiye jata hai ek khamosh udasi ka hai aalam tari kaun khwabon mein dabe panw chala aata hai 'raj aata hai kabhi pyar mein aisa bhi maqam ek dil rota hai aur sara jahan gata hai