yun to ahbab ko sab achchha nazar aaega

By aarib-hasimiApril 6, 2023
yun to ahbab ko sab achchha nazar aaega
koi muflis koi darmanda nazar aaega
phir tumhein meri aziyyat ki samajh aaegi
jab koi khwab tumhein aadha nazar aaega


chauk se sidhi gali ghar ki taraf jati hai
mod mudte hi wo darwaza nazar aaega
tum meri aankh se duniya ko agar dekhoge
phir mohabbat mein bhi khamyaza nazar aaega


chandni raat mein kuchh pariyan wahan aati hain
dekhne ke liye shahzada nazar aaega
dekhte rahna ki ab main ne safar karna hai
dekhne walon ko ek saya nazar aaega


apni ankhon ko chhalakne nahin dena 'arib'
ek darwesh tumhein pyasa nazar aaega
33404 viewsghazalEnglish