yun to har dagh tujhe hum ne dikhaya bhi nahin lekin ai dost koi raaz chhupaya bhi nahin ye to sach hai ki haqiqat ki tarah yaad nahin khwab ki tarah magar tujh ko bhulaya bhi nahin kyon gale milte hain rah rah ke hawadis mujh se mujh pe jo guzri hai wo main ne bataya bhi nahin koi batlao karen kis tarah apnon ki talash aisi manzil pe jahan koi paraya bhi nahin yun rahe garm-e-safar aalam-e-hairat mein 'saba' apna daman kabhi kanton se bachaya bhi nahin