yun to main hun falak us jahan ke liye
By bilal-sabirMarch 1, 2024
yun to main hun falak us jahan ke liye
par zamin hun isi aasman ke liye
zehn us zat se bach ke chalta raha
dil ne jis nam par dheron tanke liye
sina jalta raha ek sine ko aur
kan khinchne lage ek han ke liye
aastanon ki khatir hai mera ye sar
mera sar to nahin aastan ke liye
tum bahaaron ki mahfil mein ho sadr aur
hum khizan hum khizan bas khizan ke liye
par zamin hun isi aasman ke liye
zehn us zat se bach ke chalta raha
dil ne jis nam par dheron tanke liye
sina jalta raha ek sine ko aur
kan khinchne lage ek han ke liye
aastanon ki khatir hai mera ye sar
mera sar to nahin aastan ke liye
tum bahaaron ki mahfil mein ho sadr aur
hum khizan hum khizan bas khizan ke liye
86950 viewsghazal • English