yun to pahne hue pairahan-e-khar aata hun ye bhi dekho ki ba-sauda-e-bahaar aata hun arsh se jab nahin uthti meri fariyaad ki gunj main tujhe dil ke kharabe mein pukar aata hun mujhe aata hi nahin bas mein kisi ke aana aaun bhi to ba-kaf-e-abla-dar aata hun tu yahan zer-e-ufuq chand ghadi susta le main zara din se nimat kar shab-e-tar! aata hun tujh se chhut kar bhi teri surkhi-e-ariz ki qasam chupke chupke tere dil mein kai bar aata hun ye alag baat ki phulon pe ho zakhmon ka guman main to jab aata hun ham-rang-e-bahaar aata hun dasht-e-har-fikr se main asr-e-rawan ka insan ho ke khud apni zehanat ka shikar aata hun inhi do baaton mein kat jati hai sab umr 'nadim' ai gham-e-dahr na chhed ai gham-e-yar aata hun