yun to sab ke liye kya kya na ishaare nikle

By salim-saleemFebruary 28, 2024
yun to sab ke liye kya kya na ishaare nikle
mere hisse mein to ab ke bhi khasare nikle
mujh mein ek roz koi qatl hua tha aur phir
meri aankhon se bahut khun ke dhaare nikle


apne jaisi koi taswir banani thi mujhe
mere andar se sabhi rang tumhaare nikle
main ne samjha tha ki nam-khurda hai meri mitti
chhu ke dekha to tah-e-khak sharare nikle


ahl-e-duniya se koi jang thi dar-pesh hamein
hum bhi kya log the khwabon ke sahaare nikle
laut kar aa gae sahra ki taraf aakhir-kar
sab tere shahr mein tanhai ke mare nikle


main ne mahsus kiya hi tha tujhe aaj ki sham
raat jab aai to palkon pe sitare nikle
13060 viewsghazalEnglish