yun to shumar sab ka wahan doston mein tha

By basit-azeemJanuary 2, 2024
yun to shumar sab ka wahan doston mein tha
shamil magar na koi kisi ke dukhon mein tha
mere khilaf jis ne bune sazishon ke jal
wo mere dushmanon mein nahin doston mein tha


mana ki hum ko aap se thin ranjishen bahut
lekin kuchh aap ke bhi ta'assub dilon mein tha
main jaanta hun dusre namon ke sath sath
khud mera nam bhi to mere qatilon mein tha


tufan so gae the agar sath-e-ab par
lekin wo iztirab jo kal sahilon mein tha
kal shab main apne sath raha tha magar nahin
han yaad aa gaya ki 'ajab uljhanon mein tha


aksar to bin-piye hi main bad-mast ho gaya
aisa surur aisa nasha un ruton mein tha
'basit' gham-e-zamana se ghafil nahin tha main
sare jahan ka gham bhi to mere ghamon mein tha


62182 viewsghazalEnglish