yun to tanhai mein ghabrae bahut mil ke logon se bhi pachhtae bahut aise lamhe zist mein aae bahut hum ne dhoke jaan kar khae bahut ye nahin malum ki kya baat thi ro rahe the mere ham-sae bahut tum hi batla do ki koi kya kare zindagi jab bojh ban jae bahut hum faraaz-e-dar tak tanha gae do qadam tak log sath aae bahut shahr-e-gham jaisa tha waisa hi raha yun jahan mein inqalab aae bahut dubna 'akhtar' tha qismat mein likha waise hum tufan se takrae bahut