yunhi gar adu ki ghulami karenge wo hasil badi nek-nami karenge karenge dalilen wahan khub naseh unhin ko hum apna payami karenge ijazat bhi de un ko tangi dahan ki wo kis munh se shirin-kalami karenge adu ne kiya ghusl-e-sehhat suna hai wo jalsa bada dhum-dhami karenge 'ali' ka wasila hai donon jahan mein 'nasim' aur hum kis ko hami karenge