yunhi to shakh se patte gira nahin karte bichhad ke log ziyaada jiya nahin karte jo aane wale hain mausam unhen shumar mein rakh jo din guzar gae un ko gina nahin karte na dekha jaan ke us ne koi sabab hoga isi khayal se hum dil bura nahin karte wo mil gaya hai to kya qissa-e-firaq kahen khushi ke lamhon ko yun be-maza nahin karte nashat-e-qurb gham-e-hijr ke ewaz mat mang dua ke nam pe yun bad-dua nahin karte munafiqat pe jinhen ikhtiyar hasil hai wo arz karte hain tujh se gila nahin karte hamare qatl pe 'mohsin' ye pesh-o-pas kaisi hum aise log talab khun-baha nahin karte