zaban ko hukm hi kahan ki dastan-e-gham kahen ada ada se tum kaho nazar nazar se hum kahen jo tum khuda khuda kaho to hum sanam sanam kahen ki ek hi si baat hai wo tum kaho ki hum kahen mile hain tishna mai-kashon ko chand jam is liye kahen na haal-e-tishnagi kahen to kam se kam kahen sitamgaran-e-sada-dil ye baat jaante nahin ki wo sitam-zarif hain sitam ko jo karam kahen subu ho mere hath mein to kasa-e-gadagari jo tum utha lo jam to log jam-e-jam kahen 'shamim' wo na sath den to mujh se tai na ho saken ye zindagi ke raste ki zulf-e-kham-ba-kham kahen