zaban muddaa-ashna chahta hun dil ab zindagi se khafa chahta hun ada ko ada-ashna chahta hun tujhi par tujhe mubtila chahta hun wafa chahte hain wafa chahta hun wo kya chahte hain main kya chahta hun mohabbat ko ruswa kiya chahta hun nazar mahram-e-iltija chahta hun tayyun gham-e-ishq ka chahta hun unhen chahta hun ye kya chahta hun tere dil ko dard-ashna chahta hun bhala chahta hun bura chahta hun bahut tang hai wahm-e-hasti ki duniya main aalam hi ab dusra chahta hun shab-e-hijr tera tasawwur hi to hai tujhe aaj tujh se juda chahta hun meri maut matam ka husn-e-talab hai sukun ek hangama-za chahta hun khata dhundta hun ataon ke qabil ata chahte hain khata chahta hun phir us bazm ko dhundti hain nigahen phir ek shikwa-e-barmala chahta hun wo fariyaad ka ahd phir yaad aaya phir ek nala-e-na-rasa chahta hun phir aadab-e-furqat hain malhuz yani hujum-e-bala-dar-bala chahta hun phir ek sajda-e-tauba ki aarzu hai tujhe aap se phir khafa chahta hun phir ummid-war-e-karam hun ki 'fani' sitam-ha-e-shauq-azma chahta hun koi wajh-e-taskin nahin gham na rahat khuda jaane 'fani' main kya chahta hun