zaban pe lafz hai mera zaban hai uski

zaban pe lafz hai mera zaban hai us ki
har ek tir hai mera kaman hai us ki

udhaar mang ke laya hun chahe jab le le
bahut sanbhaal ke rakkha hai jaan hai us ki

usi ke dam se hai qaem meri ana ka bharam
hai meri aan salamat ye shan hai us ki

bahut qadim hai lekin jadid hai phir bhi
ba-qaid-e-umr ye duniya jawan hai us ki

har ek sham hai us ki malamaton ki amin
har ek subh sabahat-nishan hai us ki

zamin ka farsh hai us ka ki khwan-e-neamat hai
khudai jis ke liye mehman hai us ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close