zabt-e-gham mushkil hai aur mushkil hai mushkil ka jawab naseh-e-mushfiq tere bas ka nahin dil ka jawab aaine mein dekhte hain husn-e-kaamil ka jawab koi puchhe kya wo denge jazba-e-dil ka jawab alwidaa kah kar jo dete hain mere dil ka jawab aa padi mushkil ki kya ho aisi mushkil ka jawab khak-e-parwana ho shayad zabt-e-kaamil ka jawab shama ho sakti hai kab mere bujhe dil ka jawab ai mere jazb-e-mohabbat teri ye be-tabiyan aur khamoshi hi khamoshi jaan-e-mahfil ka jawab ek sawal-e-shauq par us ne hamein ghayal kiya hashr ke din dekhna hai kya ho qatil ka jawab naghmagi inkar ki bhi hai surur-afza magar ab kahan hai lan-tarani husn-e-kaamil ka jawab un se aankhen chaar kar ke 'taj' main khoya gaya ek bhari mahfil mein be-khud kar gaya dil ka jawab