zabt-e-ulfat ka yahi hum ko sila mil jae dasht mein aur koi aabla-pa mil jae aagahi aur kai naqsh bana sakti hai tum jo insan ko dhundo to khuda mil jae yahi behtar hai ki khud rah mein gum ho jaen is se pahle ki koi rah-numa mil jae aao zanjir ki jhankar pe hum raqs karen kya tajjub jo yunhi jins-e-wafa mil jae isi dhun mein to hum aawara phira karte hain kahin shayad tere aanchal ki hawa mil jae ab tera dhyan hai yun jaise andheri shab mein ittifaqan koi mitti ka diya mil jae