zahe nasib ki imkan-e-zist ab tak hai tumhaara hijr hi unwan-e-zist ab tak hai kise padi hai jo aa kar sune kahani meri mere wujud pe bohtan-e-zist ab tak hai bahut hi didani manzar tha meri wahshat ka tabhi se chaak gareban-e-zist ab tak hai mohabbaton mein azal se sabhi ne gham hi saha mohabbaton mein to nuqsan-e-zist ab tak hai nikala jis ko baghawat pe tha qabile ne nahin mara wo to mehman-e-zist ab tak hai kahan milenge sanwarenge ek duje ko teri talab mujhe dauran-e-zist ab tak hai abhi qalam bhi hai baqi mere ye misre bhi meri to kutiya mein saman-e-zist ab tak hai kabhi bhi yaad musibat mein ghair ko na kiya mera khuda hi nigahban-e-zist ab tak hai